Agar aap Saudi Arabia mein muqeem hain aur aapki company ya kafeel aapka Final Exit (Khurooj Nihai) lagane mein deri kar raha hai, ya aap apna case Pakistani Embassy ke zariye process karwa rahe hain, toh yeh video aapke liye bohot zaroor hai.

Bahut se Pakistani bhai kanooni maloomat na hone ki wajah se pareshan hote hain. Is video mein maine practical tareeqe se samjhaya hai ke jab aap Embassy ke zariye Final Exit apply karte hain, toh uska sahi tareeqa-e-kaar (process) kya hai, Maktab-e-Amal aur Jawazat ke kya rules hain, aur kin wajahat se aapke case mein delay ya deri ho sakti hai.

Is video mein aapko mukammal tafseel milegi:

  • Pakistani Embassy ke zariye Final Exit (Khurooj Nihai) lagwane ka step-by-step process kya hai.
  • Agar company ya kafeel cooperat na kare, toh kanooni rasta kaise ikhtiyar karein.
  • Embassy se case process hone mein aam taur par kitna waqt lagta hai.
  • Jawazat aur Saudi Labour Law ke mutabik kaun si galti aapke exit ko rok sakti hai.
  • Khurooj Nihai lagne ke baad aapko kitne dinon ke andar Saudi Arabia chhorna hota hai.

Agar aap ya aapka koi milne wala is mushkil se guzar raha hai, toh is video ko aakhir tak zaroor dekhein taaki aap aane wali pareshaniyon aur aam galtiyon se bach sakein.

Agar aapko yeh maloomat faydemand lage toh video ko Like zaroor karein, doston ke sath Share karein aur banking aur Saudi visa updates ke liye channel ko Subscribe karke Bell Icon dabana na bhoolein.